Height Increase Tips in Hindi – Height Badhane Ke Tarike

Height Increase Tips in Hindi – Kya aap bhi apne height ko badhane ke tips dhoondh rahe hai. To aiye aaj main aap logo se height yani ki unchai, lambai, kad badhane ke kuch tarike ko share karunga. Ab jyada samay na late hue aage badhte hai.

Height Badhane Ke Tarike, Uchai Kaise Badhaye

Adhunik yug mein height ka kam hona ek abhishap ban gaya hai kyunki vyakti ki height uske vyaktitav ko darshati hai, Height badane ke kayi tarike hain. Jinme se mukhy tarike niche diye gaye hain. Agar in tariko ka sahi upyog kiya jaaye to kam height ko badhaya ja sakta hai.

Height ka badhna ruk jane ke kayi karan ho sakte hai. Jinme se ek hai mata pita ki height ka kam hona. Ya koi sharirik vikar athwa sharir ke vikas ke liye awashyak tatwon ki kami hone. Lekin hum apne sahi ahaar se aur vyayam se ani height ko bada sakte hain.
Height Badhane Ke Liye Tips

1) Yoga

Height badane ke liye sbse aasanaur asardaak tarika hai daily yoga karna. Yog mein kai is tarah ke aasan hain hai jinse kad uncha hota hai. Jaise taad aasan isme sidhe khade hokar apne dono hathon ko uper uthayein aur per ki aidiyon ko bhi uper uthayen aur hatho ko upar ki taraf khinche. Is se kad jaldi badta hai.

2) Sahi ahaar

Sahi ahaar height ko badane main bahut sahayak hai .Kad lamba karne ke liye bahut jruri hai ki jo aahar hum lete hain wo poshak tatvo se bharpur ho jinme protein, zinc, vitamin d shamil hona chahiye. Jo bhi hum khate hain uska sidha prabhav hmare sharir per pdta hai. Sahi aahar lene se sharir ka sahi vikaas hota hai. Sahi tatha poshtik ahaar lene se sharir mein bimariyon ko ladne ki shamta milti hai. Aur sharir jitna nirogi hoga utni height ache se bdegi.

3) Sahi Aasan

Height ko badane ke liye ye bahut jruri hai ki hum sahi tarike se bethein aur uthein.Kamar ko hmesha sidha rakhna chahiye. Sahi aasan se hum apne sharir ko swasth tatha nirog rakh sakte hai. Jis se sharirik vikas mein shayta milti hai.

4) Sahi Dincharya

Height ko badane ke liye sahi dinchrya ka hona awashyak hai. Sahi samay par bhojan karna. Subeh uthkar Vyayam karna, poshtik aaharon ka sewan karna. Agar sahi dincharya ka palan kiya jaye to height achi badti hai.

5) Calcium

Sharir mein calcium ki kani hone se bhi sharir ka pura vikas nahi ho pata.Height ko badhane ke liye body mein calcium ki prachur matra ka hona awashayak hai. Kyunki calcium se haddiyan majbut hoti hain aur sharir ka vikas hota hai. Calcium ke liye hari sabjiyon ka sewan karna chahiye, fal khane chahiye.

6) Tairna

Height badane ka ek aur mahatavpuran tarika hai tairna yani swimming. Tairne se manspeshiyan khinchti hai aur kad bdta hai. Yai ek bahut hi labhdayak tarika hai height badane ke liye. Bacho ko bachpan se hi tairaki sikhani chahiye taki unki height lambi ho jaye.

7) Rassa Kudna

Rassa kudna height ko badane ka sbse asaan tarika hai. Bachon ko bachpan se hi skipping yani rassa kudne ki aadat dalni chahiye is se kad jaldi lamba hota hai aur motapa bhi kam hota hai. Is se manspeshiyan majboot hoti hai aur lachkili bhi hoto hai.

8) Ayurvedic Medicine

Aj ke adhunik yug mein ayurved ne bahut taraki karli hai. Jiske sewan se hum kayi tarah ki lailaj bimariyon ko bhi thik kar sakte hain. Ayurved mein height ko badane ke liye kayi tarah ki dawaaiyan aati hain jinka upyog karne se bacho ki height bad jati hai. Aur in dawaayion ka koi side effect bhi nahi hota. Lekin ye dawaaiyan doctor ki salah se hi leni chahiyen. Ajkal bahut si companiyaan height ko badane ki dwayina banati hai lekin kbhi bhi bina doctor ki salah se in dawaiyon ka sidha upyog nahi karna chahiye.

9) Paani ka bharpoor sewan

Sharirik vridhi aur height badane ke liye pani ka sewan bharpur matra mein karna chahiye. Pratidin har vyakti ko 8 glass pani pina chahiye is se sharir ki gandgi bahar nikal jati hai. Aur agar sharir swasth rahega to iska vikas bhi sahi tarah se hoga. Jis se height badne mein sahayta milti hai. Pritidin achi matra mein pani pine se sabhi tarah ki bimariyon sebacha jaa sakta hai.

10) Nasheele Pdarthon Ka sewan naa karna

Kisi bhi tarah ke nashe ka sewan nahi karna chahiye kyunki in nasheele pdarthon se sharir ka sahi vikas nahi hota. Yai nasheele padarth yani shraab, cigrette, tambakoo ityadi. Inse kai tarah ki bimariyaan hoti hai jese cancer, dama aadi. Jis se height ka bdna ruk jata hai. Kyui yai bimariyan sharir ki shakti ko khatam karte hai. Jis se sharirik vikas ruk jata hai.Aur sharir ki rog se ladne ki shakti khtatam hoti jati hai.

11) Sharirik ko Khichna:

Height ko badane ke liye kai tarike hain jinme se ek hai sharir ko khinchna yani wo vyayam karna jis se sharir ke vibhin ango mein khichav paida ho is se manspeshiyan khinchti hai jis se height badti hai. Yog mein kayi aise vyayam hai jin se sharir mein khichav hota hai jese sidhe khade hokar apne dono hathon ko peron ki ungliyon tak lagana. Is aasan se sharir ki manspeshiyan khinchti hai. Jo ki height ke badne mein sahayak hota hai.

12) Sahi matra mein nidra lena

Height ke badne ke liye awashayak hai ki hum sahi matra mein pratidin nidra lein is se hmari manspeshiyon ko aram milta hai aur unka vikas teji se hota hai. Pratidin ek vyakti ko kam se kam 8-9 ghante ki nidra awashay leni chahiye. Is sharir ka vikas teji se hota hai. Aur sharir nirogi rehta hai.

Conclusion

Is prakaar agar hum uprokt upayon ka sahi se palan karein to apni height ko bada sakte hain. Aj ke adhunik samay mein achi height ek vyakti ke vyaktitav ko ubharti hai. Zindagi ke Parteyak shetra mein achi height ka hona awashayak hai chahe wo khelka maidan ho, ya achi naukari ya shaadi. Height lambi hona awashayk ban gaya hai.

Jiske abhav mein vyakti apne apko nimn samjhne lagta hai. Achi height vyakti main atam vishwas lati hai. Jis se uski taraki hoti hai aur wo dusron ke sath milke chalne ka sahas jutata hai. Magar sahi salah se in vyayamo ko karna jruri hai tbhi inke ache aur manchahe tarike niklenge.

Leave a Comment