Nari ki sundarta ko badhane mein baal bahut mehatvapurna role ada karte hain. Har ladki, aurat ka ye sapna hota hai ki uske baal lambe sunder aur ghane ho lekin aajkal ke busy samay mein achi tarah se apne baalon ki care karna bahut hi mushkil hai. Lekin kuch pane ke liye kuch khona bhi padta hai.
Hair Care Tips in Hindi
Itne busy time se agaraap kuch samay apme baalon ki dekhbhal mein lagayengi to apne sunder baalon ke sapne ko saakar bhi kar sakti hain. Aaj hum apke liye kuch ese hi tips bata rahe hain jo apke balo ke liye bahot hi laabhdayak honge.
Balo Ki Dekhbhal Kaise Kare
Sahi Hair Oil Ka Chunav
Hair ki growth aur hair ko acha bana ne ke liye sabse pehla zaroori tip yeh hai ki aap apne baalon leliye ache hair oil ka chunav karein jisme wo sabhi tatv ho jo baalon ko Ghana lamba aur thick banate hain. Jese amla , shikakai, badam, sarson, bhringraj agar ye chize apke hairoil mein hongi to apke baal lambe kale ghane karle.
Hair Ko Dandruff Se Bachayen
Apne hairs ko agar aap hmesha sunder, Ghana rakhna chahte hain to apne hairs ko dandruff se hmesha bacha kar rakhein. Kyunki dandruff se apke baal dry ho jaate hai aur unki chamak khatam ho jati hai. Dandruff se skinproblem bhi hone lagti hai.
Hairs Ko Kam Wash Karein
Hairs ko healthy aur shiny rakhne ke liye yeh zaroori hai ki aap apne baalon ko kam se kam hafte mein do baar dhoyein is se aapke baalon mein se gandagi nikal jaegi aur baal healthy bhi rahenge.
Hair Massage
Hair growth ke liye aur inhe sunder aur Ghana bana ne ke liye hafte mein kam se kam ek baar hair massage zaroor karni chahiye. Iske liye olive oil ka use karein. Olive oil se baal lambe bhi hote hain ghane bhi. Hair massage karne ke liye oil ko baalon ki roots mein lagayen baalon ke portion bana lein aur fir apni fingures se oil se massage karein.
Hair Wash Kese Karein
Baalon ko kabhi bhi garam paani se mat dhoyen kyunki agar aap jyada garam paani se apne baalon ko dhoyenge to ye dry aur dull ho jaenge. Is se baalon ki shining khatam ho jayegi. Baalon per shampoo laga kar inhe zor se mat ragrein kyunki is se aapke baal toot sakye hain. Bilkul gently shampoo lagayein. Aur iske baad ache se khoob paani mein hair ko wash karein taki saara shampoonikal jaaye balon se. Fir uske baa dacha sa conditioner le kar baalon par gently lagayein aur balon ko pani mein rinse karein.
Hair Oil Kese Lagayen
Hair oil lgane ka sahi tarika yeh hai ki aap baalon ki roots mein oil lagayein. Baalon ko aage jhuka ke oil ko figure tips per lein aur dhire dhire gol gol ghumayein. Baalon per oil aram se lagayen jor jor se mat lagayen kyun ki is se hairfall ho sakta hai. Oil ko baalon mein kam se kam 2 ghante tak laga rehne dein. Taki oil apke skull pores mein achi tarah ja ka rise nourich karde uske baad he baalon ko shampoo karein.
Hair Care Ke Liye Kuch Zaroori Baatein
- Baalon ko shiny bana ne ke liye aap dahi yani curd ka upyog karein baalon mein dahi lagayen aur 2 ghante laga rehne ke bad baalon ko ache shampoo sedholein is se baalon ki dandruff bhi khatam ho jaegi aur baal mulayam aur shiny ban jayenge.
- Olive oil yani jaitun ka tail baalon ki growth ke liye bahut hi laabhdayak hai. Jab bhi baal dhone ho is se 2 ghante pehle olive oil se massage karein. Is se baal jaldi se lambe aur ghane hote hain.
- Baalon ke liye sahi hair comb ka use karein agar aapke baal jyada ghane hon to aap thode thick brisals wali comb ka istemaal karein. Is seaapke baal jyada tutenge nahi.
- Hair spray ka upyog kam se kam karein jab aap kisi function yak has mauke par jaaye tabhi hair style keliye hair spray ka use karein. Kyunki hair sprayke jyada upyog se baal dry ho jaate hai.
- Baalon ko curly ya straight krne ke liyejin appliances ka jese hair curler, hair dryer ya hair straighter ka upyog kam se kam karein. Kyunki inki heat hairs ko dry aur dull karti hai. Is se hairfall bhi hota hai.
- Apne baalon ke texture ke anusar hi hair shampoo ka chunav karein. Kyunki agar apke baal dry hai to iske liye alag shampoo aate hain aur agar apke baal oily hain to iske liye alag shampoo apko market mein mil jayenge.
- Baalon ko mehndi lagane se baal nourish hote hai unme natural colour a jata hai aur chamak bhi.
- Baalon ko hmesha bahar jaate samay bandh kar rakhein. Taki inme dust na jaaye kyunki dust se baal dry ho jaate hai. Aur tutne bhi lagte hain.
- Garmiyon mein khaaskar apne baalon ka dhyaan rakhein kyunki garmiyon ki dhoop se baal dull aur dry ho jaate hain jab bhi garmiyon mein dhoop mein bahar jaayen to apne baalon ko ache se bandh karaur dhak cover karke hi bahar nikle. Taki inpe dust na jaye.
- Baalon ko jyaada tight rubber se mat bandhein kyunki jab aap ponytale banate hain to rubber ka use karte hain lekin rubber se jyada baalon ko mat tight karein kyunki is se apke baal toot jate hain.
- Garmiyon mein aksar baalon mein paseena aata hai. Hmesha baalon ko bandh kar mat rakhen agar baalon mein paseena aaye to baalon ko khol kar paseene ko sukha lein. Kyuki paseene se baalon ki jaren kamzor ho jati haim aur baal tootne lagte haiaur inme badboo bhi aane lagti hai. Is baat ka khaskar dhyaan rakhein. Baalon ko hafte mein do baar zaroor dhoyen dhande pani se. Harroz shampoo ka upyog mat karein kyunki shampoo mein chemical hote hain. Jinke adhik paryog se baal ruche ho jaate hain.
Conclusion
Is parkaar hamhe upper jo bhi hair care ke tips diye hain aap unko upyog kar ke dekhein aur apne baalon ko sunder, lamba aur Ghana banyein.