Benefits of Carrot in Hindi – Gajar yani ki carrot ek aisi sabji hai jo sabji ke roop mein to swadisht hai hi saath hi saath ise hum kayi roop mein kha sakte hain iska halwa bhi banta hai to yeh ek sweet dish hai jo har umer ke vyakti ko swadisht lagti hai, gajar ka juice bhi banta hai jo bahut hi laabhdayak hota hai health ke liye gajar ka murabba bhi banta hai jo takatwar hota hai.
Is parkar gajar kayi roop mein hum apne gharon mein istemal karte hain lekin kya apko pata hai ki gajar kewal khane mein hi swadisht nahi hoti hai balki gajar mein kayi tarah ke gun hote hai kayi laabh hote hai.
aaj unhi sab baton ka varnan hum krenge aur apne pathkon ko gajar se hone wale vibhin parkar ke laabho ke baare mein batayenge.
Benefits of Carrot in Hindi Me, Carrot Yani Ki Gajar Khane Ke Fayde:
1) Ankhon Ke Liye
Gajar mein kayi tarah ke gun paye jate hain inme se ek mehatavpooran gun hai ki yeh ankho ki roshni ke liye bahut hi laabhdayak hai gajar ke juice ka sewan bacho ko zaroor karna chahiye is se ankhon ki roshni tez ho jayti hai. Isme bharpoor matra mein vitamin A paya jata hai o ankhon ke liye bahut hi faydemand hai.
2) Fiber Se Bharpoor
Gajar mein bahut adhik matra mein fiber paya jata hai is liye iska sewan karne se pet ke rogo se mukti milti hai gajarke juice ke daily sewan karne se pachan tantar majboot aur swasth rehta hai.
3) Skin Ke Liye Acha
Gajar na ke kewal swasth ko acha rakhta hai balki yeh skin ko bhi chamakdar banata hai. Agar har roz gajar ka juice piya jaye to skin bilkul saaf ho jati hai aur sath hi sarh skin mein bahut glow bhi a jata hai. Yeh wrinkles ko bhi door karti hai. Gajar ka sewan karne se blemishes, acne, dry skin kayi parkar ki skin ki problems se chhutkara paya ja sakta hai. Isme vitamin A ki matra bharpoor hoti hai joki skin ke liye bahut hi laabhdayak hoti hai.
4) Hemoglobin Ko Badhati Hai
Jin purusho aur mahilaon mein hemoglobin ki kami hoti hai unhe gajar ke juice ka sewan zaroor karna chahiye yeh blood ko badhata hai aur body ko swasth rakhta hai.
5) Cancer Pe Rok
Gajar khane se cancer jaise bhayankar rogo se bhi mukti payi ja sakti hai. Gajar ke juice ka har roz sewan karne se lungs ke cancer aur mahilaon mein hone wala breast cancer se bhi mukti payi ja sakti hai. Is parkar jo log gajar ke jice ka sewan karte hain unhe cancer hone ki sambhavna dusron ke mukable kam hoti hai.
6) Immune System Strong Hota Hai
Gajar ke rozana sewan karne se hamara immune system bhi strong hota hai jis se choti chpti bimarion se bacha ja sakta hai yeh body ko healthy rakhta hai aur hmari body ko rogon se ladne ki shakti pardan karti hai. Kuch logon ka immune system bahut hi week hota hai jis se we baar baar bimar padjate hain unhe gajar ke juice ka sewan zaroor karna chahiye.
7) Cholestrol Ko Control Karti Hai
Agar aap har roz gajar ka sewan karte hain to apka chelostrol niyantrit rehta hai. Jin vayaktiyon ka chelostrol kalevel kam rehta hai unke liye gajar ke juice ka sewan bahut hi laabh pahunchata hai is se cholesterol ki matra body mein niyantrit ho jati hai.
8) Diabetes Ko Control Karta Hai
Kya aap jante hain ki gajar khane se sugar jaisi bimari per bhi control kiya ja sakta hai. Gajar ke har roz sewan karne se diabetic patient ki body mein sugar ki matra niyantrit ho jati hai aur yeh thik bhi ho jati hai.
9) Teeth Aur Gums Ke Liye Useful
Gajar ek aisi sabji hai jismebahut se gun paaye jate hain inme se ek gun yeh hai ki gajar ka sewan karne se daant aut masure swasth rehte hain hmesha. Gajar tooth damage hone se bhi bachati hai.
10) Body Toxins Bahar Nikal Jate Hain
Gajar khane se ek aur zaroori laabh yeh hota hai ki iske nitay sewan se body ke toxins bahar nikal jate hain aur hamari body ander se bilkul saaf ho jati hai. Gajar mein paya jane wala vitamin A liver ko swasth rakhta hai jis se body toxins bahar niakalte hain.
11) Infection Se Bachati Hai
Aap ko yeh jankar hairani hogi ki gajar infection se bhi twacha ko bacata hai. Gajar ko aap boiled karke ya fir mash karke cuts per bhi laga sakte hain is se infection se bachav ho jata hai. Is parkar gajar ek herb ke roop mein bhi uyog mein layi jati hai.
Conclusion
Is parkaar gajar ke kayi laabh aur gun hote hain. Jinse hamari health bahut hi achi rehti hai.