Benefits of Amla in Hindi (Janiye Amla 10 Fayde)

Benefits of Amla in Hindi

Aaj ham amla khane ke fayde ke bare mein charcha karenge. Amla ek aisa fal hai jo ausadhiya guno se bharpoor hai. Ise aap Guno ki khaan bhi keh sakte hai. Amle ka istemal aap kai prakar se kar sakte hai jaise ki churan, achar, juice ya murabba. Ise aap amritfl bhi keh sakte hai.

Aap sabhi ne ek kahawat to suni hi hogi ki bujurgo ki baat ka aur amle ke swad ka pata jaroorat padne par chalta hai. Ji haa, amla apne guno ki wajah se hi duniya bhar me prasidh hai.

Amla ka istemal ham kai prakar ki bimarion ke ijal ke liye kiya jaa sakta hai. Iska upyog aap kisi bhi prakar ke twacha ke rog ko dur karne ke liye kar sakte hai. Yah balo ke liye bhi bahut faydemand hai kyunki isme Vtamin C aur Iron bharpoor matra me hoti hai iske ilawa aur bhi kayi poshak tatav amle mein paaye jate hain jaise potassium, carbohydrate ityadi. Yah nakseer, madhumeh, muh ke chale, sar dard, bawasir aur dil ki bimari jaisi samasya ko dur karne me bhi labhdayak hai. Amla khane ke fayde aur kuch laabh niche diye gaye hain.

Amla Khane Ke Fayde:

1) Baalon Ke Liye : Amle mein kayi tarah ke gun paye jate hain sabse pehla aur mehatavpuran gun yeh hai ki amla balon ke liye bahut hi acha hota hai yeh balon ko kaala karta hai. Amle ke tail se sir per massage karne se baal sunder, ghane, kale aur lambe ho jate hain.

2) Digestive System Ke Liye : Amle mein vitamin c ki matra bharpoor payi jati hai yeh pet ki kayi parkar ki bimarion ko door karne mein sahayak hota hai amle ka powder ka pani kesath sewan karne se pet ki gas, digestive system, khatte dakkar, bhojan na pachna jesi kayi bimarion se chutkara mil jata hai. Is se kabaj ki shikayat bhi door ho jati hai.

3) Diabetes Ke Liye : Amla diabetic patients ke liye bhi bahut acha hai. Amlakhane se insulin hormones majboothote hain. Iske sewan se khoon mein sugar ki matra kam hoti hai. Amle k eras mein agar shehad mila kar diabetes rogi peeyen to is se unhe bahut laabh hota hai.

4) Wazan Kam Karne Ke Liye : Wazan kam karne ke liye bhi amle ka upyog kiya jata hai. Amle k eras ka sewan wazan kam karne mein bahut madad karta hai. Amle ka sewan karne se bhookh kam lagti hai is se pet bhara bhara rehta hai jis se over weight log apni bhookh per niyantran karna seekh jate hain.

5) Ankhon Ke Liye : Ankhon ke liye to amla bahut hi laabhdayak hai yeh ankhon ki roshni ko tej karta hai. Amle ka nitay juice ka sewan karne se ankhon ki kayi parkar ki bimarian thik ho jati hain jese motiyabind, ankho ki roshni kam hona, colour blindness hona in sab rogon mein amle ka juice fayda pahunchahta hai.

6) Haddiyon Ko Majboot Karta Hai : Umer aur time ke sath sath haddiyan kamzor padh jati hain jis se hadiyon mein pain hona shuru ho jata hai. Is se bachne ka ek saral upay hai ki aap harroz amle ka sewan Karen amle ka juice peeyen is se haddiyan strong ho jati hain. Amle se kayi tarah ki bimariya control ho jati hain jese osteoporosis jo mahilaon mein payi jati hain.

7) Tanav Ko Door Karta Hai : Amle ke kayi parkar ke guno mein ek gun yeh bhi hai ki amle ke sewan se tanav door hota hai.

8) Mahilaon Ki Smasyaon Ke Liye : Mahilaon ke kai parkar ki samasyaen is se door hoti hain. Is liye mahilaon ko amle ka sewan zaroor karna chahiye. Yeh unki sehat ke liye bahut laabhdayakhota hai amle ka murabba bhi kha sakte hain yeh bahut takatwar hota hai. Amle mein vitamin c ki matra bharpoor hoti hai isme loh tatav paya jata hai jo mahilaon ke liye bahut awashayak hai.

9) Rog Pratirodhak Shamta Badhti Hai : Amle mein bahut se gun hote hain inme se ek hai ki amle ka sewan karne se rogon se ladne ki shamta badhti hai yeh ek rog prairodhak ke roop mein upyog kiya jata hai.

10) Heart Ke Liye Acha : Heart ke liye amla bahut hi upyogi hai kyunki yeh dil ko majboot karta hai dil ke mariz ko kam se kam har roz 3 amle ka sewan jarur karna chahiye.

11) Skin Ke Liye : Skin ke liye amla bahut hi gunkari hai. Agar aap nitya amle ka sewan karte hain ya amle ka juice peete hai to aap ke chehre per natural glow ata hai. Yeh skin ko soft aur sunder banata hai aap amle ke juice ko seedhe chehre per bhi laga sakte hai aur 30 minute ke baad chehra dho lein. Isse aap labe samaya tak jawan dikh sakte hai.

12) Blood Purifies Karta Hai : Amle ka ek khaas gun yeh bhi hai kyunki is me anti oxidant hota hai to yeh blood ko purify karta hai. Haemoglobin ko badhata hai.

13) Muh Ke Chalon Ke Liye : Agar aap muh ke chalon se preshan hain to aap har roz amle ka upyog Karen is ke liye amle ke juice ko adhe cup pani mein mix Karen aur is se daily morning mein kulla Karen apki mouth ulcers ki problem solve ho jayegi.

Amle mein itne gun hain jo kabhi khatam nahi ho sakte yeh bahut hi gunkari aushadhi hain.Purane samay se amle ka upyog kayi tarah ki bimarion keilaj ke liye kiya jata raha hai.

Leave a Comment